Riwayat E Umm E Salma Aur Khak E Shifa Lyrics - Farhan Ali Waris

Let's check out the lyrics Riwayat E Umm E Salma Aur Khak E Shifa, recited by Farhan Ali Waris, masaib by Allama Asif Raza Alvi and penned by Zeeshan
Fasalli
Riwayat E Umm E Salma Aur Khak E Shifa Lyrics - Farhan Ali Waris
Let's check out the new noha lyrics in Urdu, English and Hindi. Riwayat E Umm E Salma Aur Khak E Shifa Lyrics by Zeeshan Abidi and Farhan Ali Waris and recited by Syed Farhan Ali Waris, masaib by Allama Asif Raza Alci. It is a new noha of the year 2025-26. Zawja-e-Rasool Hazrat Umm-e-Salma riwayat karti hain ke ek din Rasool-e-Khuda mere paas tashreef laye aur awaaz de ke kaha: Umm-e-Salma! Jibraeel mere paas aaye aur unhon ne mujhe khabar di hai ke mera beta Hussain teen din ka pyasa, sarzameen-e-Karbala mein qatl kar diya jaye ga. Jibraeel ne mujhe wahan ki mitti di. Yeh mitti sheeshi mein rakh lo. Jab yeh khaak khoon mein tabdeel ho jaye, to samajh lena ke mera Hussain shaheed kar diya gaya. Aashur ki shaam thi... khamosh Madina... Qabr-e-Rasool pe lipti Hussain ki beti, Fatima Sughra ne khwab dekha. Bibi khwab se uthi, tarpi, cheekhi, aur ghar ki janib dauri. Awaaz de ke kaha: "Nani Umm-e-Salma! Nani, maine khwab dekha. Nani, maine apne baba ka kata hua sar dekha. Chehra khoon …